Thursday, January 31, 2019

history of Pakistan Kahani Pakistan Ki Urdu Main

Pakistan Ki Kahani

Word Pakistan

Pakistan is the Muslim country. Pakistan, a Muslim country for the word first used in 1933 by Chaudhry Rehmat Ali. At this time, he was student of Cambridge University. Independence of Pakistan and India was appointed 15 August 1947. But virtually independence Pakistan got a 1august 1947 afternoon. Because Wasaray Moutan Baiton want to go New Dehli Tradition Independence day. 14 August 1947, 11 at night right last time in history, our Broadcast by Radio Lahore announced the “This is All India Radio”. After 12 O’clock announcement was “this is Radio Pakistan.” Quaid-e-Azam Mohammad Ali Jinnah was the founder of Pakistan. He was struggle for Pakistan and achieves Pakistan. In this page, you will read about the history (kahani)of Pakistan in Roman Urdu.

Pakistan Ki Kahani Mein

Chaudhry Rehmat Ali Ka Kirdar

Pakistan ka lafz aik alehda Muslim watan ke liye sab se pehley Choudhry Rehmat Ali ne 1933 mein istemal kiya. Us waqt Chaudhry Rehmat Ali Cambridge University ke aik tallib ilm thay. Chaudhry Rehmat Ali ne 28 January 1933 ko “Ab Ya Kabhi Nahi”(Now Or Never) ke naam se aik ketabcha shaya kiya jis mein na sirf aik alehda Muslim Watan ke qayam ki tajweej pesh ki gaye balkey majuza Muslim watan ko Pakiktan ke naam se mousom kiya gaya.
Chaudhry Rehmat Ali nay apni tajweej mein Punjab sey “P” suba Sarhad key Afghanon sey “A” Kashmir sey “K” Sindh sey “S” aur Balochistan sey “Tan” ley ker unko apas mein jor ker “Pakistan” banaya. Iss ke baad ye lafz taizi se maqbol hota chala gaya. Hindustan ke mukhtalif alaqon mein na sirf Pakistan ke naam se tanzemein qaim huein balke “Pakistan” ke naam se akhbarat o jaraed bhi jari kiya gaya pehla resala 1933 mein Chaudhry Rehmat Ali ne Cambridge ( Britania) sey jari kiya jo Pakistan Qaumi Movement ka terjuman tha.

Pakistan Ki Kahani Mein Writer's Ka Kirdar

Hindustan mein haft Roza “Pakistan” June 1936 mein Abbottabad Soba Sarhad sey nikla jis key editor Syed Ghulam Hussain Shah Kazmi they.
1937 mein Punjab key Maulvi Ibrahim Ali Chushti ney “Tehreek e khilafat Pakistan” shuru ki aur iss hawaley sey aik skeem pesh ki. 7 Augusst 1937 ki Nawab Ahmed Yar Khan Daultana ney apney aik mazmon mein ye kiyal zahir keya key Congress ki policies ka natija yaqinan Pakistan ki sorat mein baramed hoga.
September 1937 mein Punjab Muslim Fedreation Lahore ney alan keya key shumal Magrabi alaqon mein Pakistan key qayam key lea talba jaddojahad karain. June 1938 mein Lahore key chand Muslim naujawano nay aik tanzeem “Majlis e kabir Pakistan” key nam sey qaim ki.
Pakistan key nam sey dosra resala Qanoon saz Assembly key rukun aur maroof sahafi o shayar Maulana Farooq Dewa Gorakhpuri (professor Majnun Gorakhpuri key walid) ney January 1939 mein Lakhnow sey jari kiya ye bhi haft roza tha.
Hyderabad Dakan mein Muslim league key zair ahtemam 20 May 1939 ko aik confrance munaqid huwa tha. Iss mein Maulvi Mohammed Farooq Dewana Gorakhpuri ney ba hasiat Sadar taqrer kertey huye Choudhary Rehmat Ali ki skeem per roshni dali aur unki taqreer key dauran samayein barabar "Pakistan Zindabad" key narey buland kartey rahey.
"The times London" kay Hindustan mein Moqeem Nama Nigar ney December 1938 mein apney aik mazmoon mein likha Hindustan kay Musalman Pakistan chatey hain. 29 January 1939 ko Sir Abdullah Haroon ney apni aik taqreer mein kaha: Hum Pakistan chahtay hain, 1939 hi mein Pir Ali Muhammed Rashdi nay bhi kaha key “Ham Pakistan chahtay hain, 24 March 1939 ko MS Tusi ney "Ay Pakistani” kay naam sey Eastern Times Lahore mein aik mazmoon mein likha key Hindustan key shumal magrib mein aik Muslim rayasat “Pakistan” kay naam sey qaem ki jani chaeay. 18 November 1939 ko Raja Ameer Ahmed Khan Af Mehmood Abad ney Asam subai Muslim Leag conference sey khetab kertey huey kaha key “Ham Pakistan chatey hain.

Pakistan Ki Kahani Mein

Muslim League Ka Kirdar

Yeh aik ajeeb ittefaq aur hairata angaiz waqa hay key 23 March 1940 ko Al India Muslim League key sataesveen salana ijlas mein Lahore mein jo tarekhi qardad manzoorki gae, iss mein judagana Muslim watan ko “Pakistan” key naam sey mausoom nahin kea gea tha. Muslim league ki working committe ki rukun Amjedi Begum (Begum Moulana Muhammed aki Jauher) ney iss qarardad ko “Pakistan Ki Qarardar" kaha Lahore mein Taqseem-e-Hind ki qarardad-e- manzur honey key bad bhi aik muddat tak Al India Muslim League ki janib sey watan ka koi naam tajweez nahin kia gaya.
Lakin lafz-e-Pakistan Musalmanan-e-Hind ki umangon sesy iss qader ham ahang ho chukka tha key Muslim League ki janib sey iss zamen mein kisi qisim ka bazabtah alan na honey key bawajood na sirf Muslim Leag key rahnuma balkey awam bhi majuza watan ko Pakistan kay nam say yaad karney lagey yeh baat bhi kisi had tak drust hay, kay 23 March 1940 ko manzoor honay wali qarardad ko Hindu Press aur Indian National Congrees ki leader ship nay bhi qarardad Pakistan kaha yeh baat qabil-e-ziker hay kay 1939 tak Al India Muslim League kay plate farm sesy ya kisi leader nay “Pakistan” ka lafz istemal nahin kia hatta key Quaide-e-Azamnay bhi yeh lafz 1939 mein istemal kiya. Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah nay 30 July 1939 ko Viceroy Laord Linlighgow sey appeal ki kay woh Hindustan key awam ki marzi key khelaf un per wafaqi dastur mosallat na kerein warna Musalman jo pehley sey “Pakistan” key barey mein shoch rahey hain alahdgi per majbur ho jain gein jis ka yaqenan matlab Hindustan key ithad ka khatma hoga.

Pakistan ka Alan

Pakistan Ki Kahani 14 August 1947

Bare Shagir Pak-o-Hind ki azadi 15 August 1947 moqarrar ki gae thi lakin filhaqeeqat Pakistan ko azadi aik roz pehley 14 August ki sah paher ko mil gae keonkey Waiser Ae Lard mount Baten ko Nae Dehli mein adhi rat ko India ki rasoom Azadi mein shareek hona tha iqtedar ki muntaqlli ager chay Karachi ki aik taqreeb mein 14 August ki sah paher ko ho gae thi lakin Pakistan key Radio Station rat key sareh gearah bajey tek yahi ilan kertey rahey “Yeh Al India Radio hey” jabkey puri qaum bechaini sey shasusi team shibi Transmission ka intezar ker rahi rhi iss waqt Pak-o-Hind key aksar shahron ki galleon aur mahallon mein agg kay sholay buland ho rahay thay firing ho rahi thi. Khanjer zani ho rahi thi tezab ki bhari hui botlein aik dusrey per phenki ja rahi thin paidal aney waley qaflon ya mahajren sey chat tek ati hui rail garyon ko rok kar logon ko groh der groh qatel kea ja raha tha.
Aisey sangeen halat mein Radio key sewa mulk mein aur koi zaria aisa nahin tha jis sey Pakistan key qaiam ka baqaeda ilan kea ja sakta tha iss waqt Pakistan mein sirf teen Radio station they Lahore Karachi aur Peshawer.14 August rat ko theek gayarah bajey Radio Lahore ney tareekh mein akhri mertaba apney nasharey mein alan kea”yeh al India radio hay” [achas minut bad jab barah bajney mein des minut rah gaey to Radio Pakistan ki apni aburi dhun hawa key dosh per lehraney lagi yeh dhun Pakistan key Azeem Nagma Nawaz Khaja Khurshid Anwer ney banai thi iss dhun ko suntey hi lakhon log apney apney Radio set key gird jama ho gaey Pur josh, pur azam aur shadman-o-farhan jab barah bajney mein sirf aik minut rah gea to yeh dhun dherey dherey pes manzer mein jaker gaeb ho gai aik awaz ubhri “Ab sey kuch der bad Pakistan ki azad aur khud mukhtar mumliket wajud mein aney walli hay.
Phir Radio per clock ki tik tik tik ki blund awaz sunai deney lagi samaeen key dil ki dharkanain taiz sey taiz honey lagin pehley angrezi mein awaz aie Diss iz Pakistan broud kasting service pher Urdu mein awaz aie yeh Radio Pakistan hay nashri alamya ki Hindi sey Urdu mein tabdeli aik itna bara waqea tha key samaeen jazbati ho gaey khushi sey aik dusrey sey chimat gaet baz logon ney Radio Station per Telephone ker ey mobarak badian pashe kien. Iss key bad intehai khushul han qari ki awaz mein Quran Majeed ki surah Ftah ki ibtedai ayat ki dil awez Qirat honey lagi.( Tarjumah Ae Mohammed- ham ney tum ko fatah di fatah bhi sareh o saf takey Allah tumhara agley aur pichley gunah bakhs dey aur tum per apni nemat puri ker dey aur tum ko sedhay rastey chalaey aur Allah tuhari zaberdet madad keray) Sa maeen ki rooh Quran sey mamur ho gae Qurat key bad Radio Pakistan key Arkstera ney aik bilkul neya saz chera ab samaeen key jazbat musarrat o khushiyon sey labreez they aur saber ka paimana kisi bhi waqt chalakney wala tha aien usi waqt Allama Iqbal ki aik nazam Qawali ki surata mein gai gae. Azadi ka khasusi teem Shibbi program Tahrek Pakistan aur jaddo jahad Azadi key mokhtaser bian per khatam hua jo mashhur gazal go shaier Hafeez Hoshyarpuri ney tahrer kea tha.
15 August ko Radio Pakistan ki subah ka Agaz surah Al Imran ki Aiet 26 ki Qirat se hua (Tarjuma kaho key ae Allah Badshahi key Malik too jis ko chahey Badshahi bakhshey aur jis sey chahey Badshahi cheen ley aur jis ko chahey Izzat dey aur jis ko chahey zaleel keray her tarah ki bhalai teray hi hat mein hay aur be shak too her cheez per qadir hai). Telawat Quran key bad Angreazi mein khabrain huin pehley news bolaten mein khabron ki tarufi surkhiyan nahin thin. Jab khabrein Radio station per mousool huien to un mein sey aik khaber ye bhi thi key Red Kulf Award key motabiq jis ka ilan 17 August ko Lord Mountbatten khud karien gein Gorad Spor India ko day deya gea jabkey trophy naqshey naqshey mein Gorad Spor ko Pakistan ka hissa dekhaya geya tha. yani teen din bad yeh khaber serkari tour per nashar ki jaegi iss sey Radio key afsaran bala sakht motafikr aur pareshan ho gaye. Iss waqt Lahore radio station sey Musalman Mahajiron aur qaflon key leye khasusi hidayata nashar ki ja rahi thein jin mein ye bataya ja raha tha key Mashraqi Punjab key Musalmanon key leye kon kon sey moqamat mahfooz hain mahfooz moqamat mein sey aik Gorad Spor bhi tha jis key barey mein bar bar alan keya jar raha tha afsaran bala ney apas mein mashwara ker key foran alan ko raka aur bar bar dusra ilan nasher keya geya jis mein musalmanon ko hidayat ki gaye key woh Goro Spor her giz na jaien Gorad Sport Musalmanon key leye mehfooz moqam nahien hai. Ye 15 August 1947 ki bat hay iss tarah hazar ha Musalmano ki janein bach gayein.
Yahan humnay Roman Urdu mein aapnay pardnay walon kay liye Pakistan ki Khani paish ki hai. Takay aap ko bhi maloom ho kay Pakistan ki kahani mein kis kis nay kia kirdar ada kia.

Wednesday, January 30, 2019

Blog Se Paise Kaise Kamaye Paise Kamane K Tarike

Kya Ap Apne Job Se Tang Aa Chuke Hai ? 
Kya Ap Ko Job Karana Acha Nahin Lagata ? 
Aur Kya Ap Ghar Baithe Paise Kamana Chahate Hain?
Agar Ap Ka Javab Hai_Haan_To Aj Ap Sahee Post Pad Rahe Hain,
Kyo K aaj Hum Ap Ko Batane Ja Rahe Hain,  Blog Sai Paisai Kaisai Kamayai,
Blog Aj Ak Aisa Kam Hai Jo Hum Online Ghar Baithe Kar Sakate, 
Aur Sath Mein Lakho  Paise B Kam Sakate Hain.
Online Paisa Kamane K Lie 
Ap K Pas Man Power Followairs/Subschribairs Hone Chahie, 
Ap K Sath Online Itane Zeada Log Jude Honge,  Ap Utane Hi Zeada Paise Kama Sakate Hai. Isee Lie Blog B ek Aisa Zariya Hai ,  Jahan Lakho Log Ap K Sath Judate Hue hain. Aise Main Agar 
Ap K Pas Ak Achca Khasa Blog Hai, To Ap Bahat Sare Paise Kama Sakate Hain,
Jo Shayad Ap Ksi Job Se To Na Hi Kama Sake. Blog Se Paise Kis Tarha Kamaye Blog Se Paise Kamane Se Pahale Ap K Pas Ak Blog Ka Hona ZaroorI Hai. Aur Is Se B Zada ZarorI Hai, Blog Pe Traifik Lana Ap K Blog Par Jitana Zada Traifik Hoga, Paise Kamane Mein Utna Hi Asan Is Lie Ap Niche Batae Gaye Bato Ko Dhyan Se Samajhane Ki Koshish Kare
Sab Se Pahale Ap AAk Blog Shuro Karo k Acha Sa Blog Shuro Kare  Blog Ko Ap Free Mein Ya  Kuch Paise Ko Kharch Karake Bana Sakate Hain. Jis k Puri Maloomat Ap Ko Is Blog Main Mil Jaegi  Blog Ko Shuro Karane Main Light Na Kare Agar Ap Job Karate Hain To, Blogging Ko Ap Part Time B Shuro Kar  Sakate Hain .Aur Jab Ap Ko Lage K Ap Blog Se Paise Achche Kama Kar Rahe Hain , To Ap Job Ko By by B Kar Sakate Hain. Blogging Se Paise Kamane KLie Ap Ko Apne Blog Ko Saho Friaindly Bana Pade Ga
Blog Ko Ap
Wordprais Ya Bloggair Jaise PletaFarm Main Asane Se Bana Sakate Hain.
ko shuroo karane ke baad Us Par Achi Se Achi Convention B Likhane Honge , Kun K Agar Ap K Blog Main Achi Achi Maloomat Vale Blog  Post Nahin Honge To Ap Apne Aur Apne Blog k Beech Ak Trust  Nahin Bana Sakate Is Lie
Ap Apne Blog Main Sahe Information Ko HI Sheyar Kare,
Jis Se Ap K Blog Ka Ap K Upar Trust Bad Jayega, Blog Sahi
Paisai Kamaane K Lie Ap Achi Achi Blog Post Har Roz Likhana Shuroo Kare Yahaan Par Koi Aisa Rool Nahin Hai K Ap ko Kis  Topik Par Post Karni  Hai Ya Kis Par Nahi
Ap Kisi B Topik Par Post Kar Sakte Hain Aur 
Ap Us Topik Par Blog Post Likhe Jisame Ap Ko Kuch   Zeada Maloomat ho. Ap Ko Bata De  K Blog Banana To Buhat Hi Asan Hai, Lekin Us
Pe Traifik Yoojar Raiadairs Laana ,Utana Hi Mushkil Kam Hai
Ye Mushkil Shuru Main Buhat Zeada Ati Hai,Ye To Ap Ko B Pata Hi Ho
Ga Koi B New Kam Kare To Kuch Mushkilo Ka Samna To Karna Hi Parta Hai Lekin Agar Ap
Ak AchE Plan K Sath Kam Karate Hain To Ap Ap Ne Blog Par Asanee Se
Traifik La Sakate Hain.Hum Ap Ko Is Blog Par Traifik Badhane K Lie Achi Maloomat Sheyar Karate Rahege ,ApYe Zarur Suru KareK Ap Ne Hamari Next Post K Sab Se Pahle Padane K Lie Hume Subschribai Kiya Hai Ya Hahin Niche Hum Ap Ko Traifik Zeada Karne K Lie Kuch areke Bata Rahe Hain..
Ap Ne Blog Ko Sochial Mediya Par  Zeada Se Zeada Sheyar Kare
Dusre Blog Par Mament Kare Ta Ko Ap K  Blog Ko Fayida Ho,
Ap Ne Blog Ka Daisign Asaan Aur Acha Rakhe
Shuru Main Long Tail Kaiyword Ko Hi Taraget Kare ap Ne Blog Kee Loading Tim Kam Kare
Daily Post Likhe Aur Ap Ne Schaidulai Ko Kabhi Skip Na Kare Fachaibook K Blogging Groups K Join Kare Aur Vahan Logo K Savaalo Ka Javab De,
Ab Bari Ati  Hai K Hum Ap Ko Un  Tareko K Bare Main Bataye 
Jis ki Madad Se Ap Blogging Se Paise Kama Sakate Hain.
Agar Ap Ne Blog Par Traifik Lana Shuroo Kar Diya Hai ,To Ab Ap Blog Se Paise Kama Sakate Hain Sabhe Bade Blogar Shuru Main Buhat Zeada  Mehanat Karate Hain,Ta Jo Un K Blog Par Achca Traifik Mile Aur Sath Main Vahn Logo Ka Trust B Bana Sake, Aur Jab Vo Aisa Kar Lete Hai, Tab Vahn Blog Sahi Paisai Kamana Start Kar Dete Hai Aur Vo Be Itane K Ap Un K Inchomi Janakar Yakeen Nahin Honga | Aj Bade Se Bada Blogar 20-30 Laakh Rup Par Month K Kama Raha Ha.Is Lie Ap B Shuru Main Mehanat Kare
To Lhalie Ab Bat Karate Hain Blog Se Paise Kamane K  Tareko Ki.
Aj Blogging Min Sab Se Zeada Log Paise Kamane K Lie  Adsainsai Par Daipaind Ho Rahe Hain Ap Ko Bata De K Adsainsai Googlai Ka Hi Ak Tool Hai , Jo Ap K Blog K Lie Ads Providai Karaata Hai Kuch  Logo Ko Aisa Lagata Hai K Googlai Paise Viaiw K Deta Hai, Jitane Zeada Viaiw Utne Paise |Lekin Hum Ap Ko Batade K Aisa Bilakul Nahin Hai  Googlai Adsainsai Ak Adsvairtisaimaint Pletaphaarm Hai Jaha Bade Bade Kampaniya Apne Prodakt Ki  Pramoshan K Lie Ati Hain ,Jis K Bad Adsainsai Un Kampaniyo K Ads Ap K Blog Par Dekhata Hai Ab Jab B Koi Usozar Ap K Blog Se Un Ads Par Chlichk Karate Hai , To Adsainsai Ap Ko Us K  Paise Deta Hai Lekin Isake Lie Ap Ko Adsainsaipar Apana Acaunt Banana padata Hai Aur Ap Ne Blog K Lie Googlai Adsainsai K Approvai B Karana Hota Hai , Tab Jakar Ap K Blog Par  Ads Show Hote Hain,Adsainsai Se Aj Blogar Bauhat Sara Paisa Kamatai Hai Affiliate Marketing Bauhst Se New Blogar Hain Jo Siraf Adsainsai Par  Hi MotminHain,Lekin Unhen Ye Bat Nahi Pata K Blog Sahi Paisai Kamaane Ka Ak Aur B Acha Tareka Hai Affiliatai MarkaitingJe Han Aj Sabhi Bade Blogar Is Par Zeada D hyan De Rahe Hain , Kun K Affiliatai
Markaiting Se Ap Adsainsai Se Kae Ghuna
Zeada paise kama sakate Hain.Affiliatai Markaiting Ak Vo Tareka Hai

jis Ki Madad Se Ap Dosare Vebasait Ya Kampane Amazon, FlipkartWaibhosting


Waibsitais Aitch K Prodakt Ko Apane Blog Par Pramot Kar Sakate
Hain, Kun K Ap K Blog Par Achcha Traiphik B Hai Aur Sath Main Ap
K Pas Usar Ka Trust B Hai, Ap K Die Hue Affiliatai Link K
Zariye Log Us Prodakt Ko Kharedege ,Jis se aapako kameeshan ke tor
par Ache Khasi Inchomai B Hogi
Paid Promotion

Blog Sahi Paisai Kamaane K Lie Ye B Ak Tareka Hai ,
Jo Bht Kam Logo Ko Hi Pata Hai ,Agar Ap K Blog Par Har Mahene Achchha TraiFik Aa Raha Hai, To Ap Apne Blog Par Kisi Dusare Blog Ya Vebasait Ko Pramot Kar Sakate Ho Aur Badale Mein Ap Un Se Ache-Khase Paise B Le Sakate Hain. Agar aapaka blog bahot popular ho chooka hain, To Bade Bade Vebasait Ap Se Rabta Karege Aur Ap Ki Vebasait SeBachklink Lene ke Lie Ap Ko Ache Paise B Denge. Course  Service
Agar Ap Apne Kam Main Aixpairt Ho Chuke Hain,
To Ap Us Kam K Rileted Koi  Trening Ya Cors Shuroo Kar Sakate Hain.
Kun K Ap K Blog Par Traiphik B Zeada Hai Aur Log Ap K Upar Trust B Karate Hain, To Aise Main Bht Sare Log Ap Se Judege, Aur Ap Apne Is Kam Main Jaldi Suchchaiss B Ho Payenge Agar Ap Kisi Skills  Main Mahir Hain Jaise Waibsitai Daisign,
Logo Daisign Aur Saio
To Ap LogoKo B Sairvichai Providai Kar Sakate Aur Paise 
Arn Kar Sakate Hain
Aise bht Sare Campaniya Hain ,
Jinhen Saio, Chontaint Markaitair AurDaivailopair Ki Zarorat Hoti Hai Aise Min Ap B In CampaniyoSe Acha Khaasa Paise Kama Sakate Hain.
To Doston, 
Jaise K Ap ko Pata Chal Hi Gaya Hai K Blog Se Paise
Kamane K Kitane Tareke Hain,Vaise
To Aur B Buhat Sare Tareke Hain, Lekin Mujhe To Yehi Best Lage Esi Lie Ap Se
Shyer Kar Dia
Dosto Agar Ap ko hamari Ye Post Achi lagi Ho
Aur Ap Ko Kuchh Naya Sekhane Ko Mila HO To,
Ese Age Apne Doston K Sath b Zarur Sheyar kare,
Ta K Unhen B Blogging K Valuai Pata Chale

Tuesday, January 29, 2019

BLOGGING KYA HAI-WAHT IS BLOGGING?

                                                           
Aaj Ki Internet Ki Duniya Me

 Apne Blogging Ka Naam To Suna Hi Hoga Agar Nahi Suna To Koi Baat Nahi Aj Hum Ap ko Blogging Ke Bare Me Ap Se Kuch #information  Share Karen Ge.
 Dosto Sabse Pehle Baat Karte Hai Blogging Kya Hai Aur Blogging Kase Kare Ye Bohat Hi Mushkil Question Hai Is Topic Ka Un Logo k Lie Jo Blogger K Bare Main Nahi Jante.
Aaj Bahut Sare Log Blogging Kar Rahe Hai.
Kuch Logo Ko Pata Nahi Hota Hai K Blogging Kya Hai 
Aur Blogging Kaise Karte Hain.
 Aur Sirf Kuch Bhai #information Leke Blog Banake Blogging Shuru Kar Dete Hain Par Ye Blogging Ka Aur Blogging Karne Ka  Sahi Tarika To Nahi Hai
 Par Phir B Hum Log ESYE Shuru Kar Lete Hian
 Aur Hume Kuch Khas Fayda Nahi Milta .
  
Aaj Hum Ap Se kuch Bate Shre Kare ge k Blogging Kaise Karte Hai Aur Blogging Se Kya  Fayde Hain. 

Blogging Kya Hai ?

Aur Ab Hum Jane Ge K Blogging Kya Hai?
Aa Ne Dekha Hoga K Ap Google Me Kuch B Search Karte Hain To Ap Ko Iska Meaning Asani Se Mil Jata Hai Yan Ap Jo B Search Karte Hain Wo Ap Ko Ba Asani Se Mil Jata Hai
 Iska Sabse Badi Wajha Hoti  Hai Bohat Sare Blogger Jo Blogging Se Apne Experience Aur Lekh News Jaisi Bahut Si #information Share Aur Blog Ki Madat Se Upload Kar k Google Tak Pahunchate Hain.

 Blogging Ki Baat Kare To

Aj Ki Duniya Me Blogging Bohat Acha Aur sab Se Acha Online Work Hai.
Aur Online Earning Karne Ka Boht Hi Acha Tarika Hai 
Jis Ki Wajah Se Lakho Log Ise Jude Hue Hain 
Aur Blogging Kar Rahe Hain.

Blogging Ak Aisa Tarika Hai
Jis Me Ap Article Write Karke Acha Paisa Kama Sakte Hain. 
Online Blogging Ak Online Work Hai.
 Ji Se Ap Kabhi B Aur Kahin B Kar Sakte Hain Aur Acha Khasa Paisa B Kama sakte Hain. 
Aur Kuch Log To Blogging Apne Shauk K Liye Karte Hain.

Ap Ko Blogging K Lie Kya Chahe

Bhai Logo  Agar Ap B Blogging Karna Chahte Hain
To Ap Ko Koi B Esi Chiz Ya Diploma Ki Jarurat Nahi Hai.
Blogging K Liye Ap Ko Likhna Aur Pharna Ana Chahe. 
Aur Ap Ko Likhna Pharna Ata Hai To Ap Ba Asani Se Blogger Us Kar Sakte Hain.


WIFI CHOR KA PATA KAISE LAGAYE AUR UNHE BLOCK KAISE KARE

Agar aapka wi-fi dursa koi istemaal kar raha hai. to aap uska pata kaise lagaye. aur usko kaise block kare. to dosto aaj mai wifi chori hon...