Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Ta’ala Anho)
Khalifa e som ameer ul Momenin Hazrat Usman Bin Affan (Radi Allaho Ta’ala Anho) ki kuniyat “Abu Umro” or laqab “Zulnoreen” (do noor wale) he. Aap qureeshi hain or aap ka nasab nama ye he.
Usman Bin Affan Abi Alaas Bin Umia Bin Abu shams Bin Abad-e-Manaf. Aap ka khandani shijra “Abde Manaf” par Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam) k nasab nama se mil jata he.
Aap ne aghaz-e-islam hi main islam qabol karliya tha or aap ko aap k chacha or dusre khandani kafiro ne musalman hojane ki wajha se be had sataya.
Aap ne pehle habsha ki taraf hijrat farmai.
Phir Madina Munawara ki taraf hijrat farmai. Is liye aap “Sahib-ul Hijratain” (do hijraton wale) kehlate hain or chunke Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki do sahib zadiyan yake baad digare aap k nikah main ain’ is liye aap ka laqab “Zulnoreen” he. Aap jang-e-Badar k alawa dosre tamam islami jehadon main kuffar se jang farmate rahe.
Jang-e-Badar k moqe par in ki zoja mohtarma jo Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) ki sahib zadi thin’ sakht aleel hogain thin’ is liye Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) ne in ko jang-e-Badar main jane se mana farma diya lekin in ko mujahedin Badar main shumar farma kar maal-e-ghanimat main se mujhahedin k barabar hissa diya or ajar-o-sawab ki bisharat bhi di.
Hazrat Ameer ul Momenin Umar Farooq-e-Azam (Radi Allaho Ta’ala Anho) ki shahadat k baad aap khalifa muntakhib hue or barah(12) baras tak takht-e-khilafat ko sarfaraz farmate rahe.
Aap k dor-e-khilafat main islami hokomat ki hodod main bohot ziyada toseeh hui or afriqa waghera bohot se mumalik maftoh ho kar rashidah k zer-e-nigeen hue.
Biyasi(82) baras ki umar main misir k baghiyon ne aap k makan ka muhasira kar liya or barah(12) zul haj ya athara(18) zul haj 35hijri jumma k din in baghiyo main se aik bad naseeb ne aap ko raat k waqt is hal main shaheed kardiya k aap Quraan-e-Paak ki tilawat farma rahe the or aap k khon k chand qatrat Quraan Shareef ki ayat Fasayakfikahomullaho par pare.
Aap k janazah ki namaz Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) k phopi zad bhai Hazrat Zubair bin awam (Radi Allaho Anho) ne parhai or aap Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main madfoon hain.
(Tareekh Alkhulfa wazalta alkhufa waghera)
Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)
Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor
Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)
No comments:
Post a Comment