Sunday, February 24, 2019

shayari urdu Ai Siyasat Tu Ne Bhi Iss Daur Mein Kamal Kar Diya,

Asraar-e-Siyasat Samjho
Falsafa Samjho Na Asraar-e-Siyasat Samjho,
Zindagi Sirf Hakiqat Hai Hakiqat Samjho,
Jaane Kis Din Hon Hawayein Bhi Neelam Yahan,
Aaj To Saans Bhi Lete Ho Ghaneemat Samjho.


Samjhne Hi Nahi Deti Siyasat Hum Ko Sachchai,'
Kabhi Chehra Nahi Milta Kabhi Darpan Nahi Milta.
Kaanton Se Gujar Jata Hoon Daaman Ko Bachakar,
Phoolon Ki Siyasat Se Main BeGana Nahi Hoon.
Bulandi Ka Nasha Simton Ka Jaadoo Tod Deti Hai,
Hawa Udate Huye Panchhi Ke Baajoo Tod Deti Hai,
Siyaasi Bhediyo Thhodi Bahut Ghairat Jaroori Hai,
Tawayaf Bhi Kisi Mauke Pe Ghunghroo Tod Deti Hai
Siyasat Iss Kadar Aawam Pe Ehsaan Karti Hai,
Aankhein Chheen Leti Hai Fir Chashme Daan Karti Hai.
Ai Siyasat Tu Ne Bhi Iss Daur Mein Kamal Kar Diya,
Gareebon Ko Gareeb Ameeron Ko Maala-Maal Kar Diya.
Lade, Jhagde, Bhide, Kaate-Katein Shamsheer Ho Jayein,
Batein, Baantein, Chubhein Ek Doosre Ko Teer Ho Jayein,
Musalsal Qatl-o-Gaarat Ki Nayi Tasvir Ho Jayein,
Siyasat Chahti Hi Hum Aur Tum Kashmir Ho Jayein.
Siyasat Ko Lahoo Peene Ki Aadat Hai,
Varna Mulk Mein Sab Khairiyat Hai.
Ek Aansoo Bhi Hukoomat Ke Liye Khatra Hai,
Tum Ne Dekha Nahi Aankhon Ka Samundar Hona.
Siyasat Ki Dukaano Mein Roshni Ke Liye,
Jaroori Hai Ke Mulk Mera Jalta Rahe.
Inn Se Umeed Na Rakh Hain Ye Siyasat Wale,
Ye Kisi Se Bhi Mohabbat Nahi Karne Wale.


No comments:

Post a Comment

WIFI CHOR KA PATA KAISE LAGAYE AUR UNHE BLOCK KAISE KARE

Agar aapka wi-fi dursa koi istemaal kar raha hai. to aap uska pata kaise lagaye. aur usko kaise block kare. to dosto aaj mai wifi chori hon...